tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte
kisi din us ke dar pe raqs-e-wahshat kyun nahin karte
ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte
tumhaare dil pe apna nam likkha hum ne dekha hai
hamari chiz phir hum ko inayat kyun nahin karte
meri dil ki tabahi ki shikayat par kaha us ne
tum apne ghar ki chizon ki hifazat kyun nahin karte
badan baiTha hai kab se kasa-e-ummid ki surat
so de kar wasl ki KHairaat ruKHsat kyun nahin karte
qayamat dekhne ke shauq mein hum mar miTe tum par
qayamat karne walo ab qayamat kyun nahin karte
main apne sath jazbon ki jamaat le ke aaya hun
jab itne muqtadi hain to imamat kyun nahin karte
tum apne honTh aaine mein dekho aur phir socho
ki hum sirf ek bose par qanaat kyun nahin karte
bahut naraaz hai wo aur use hum se shikayat hai
ki is naraazgi ki bhi shikayat kyun nahin karte
kabhi allah-miyan puchhenge tab un ko bataenge
kisi ko kyun bataen hum ibaadat kyun nahin karte
murattab kar liya hai kulliyat-e-zaKHm agar apna
to phir 'ehsas-ji' is ki ishaat kyun nahin karte
Ghazal
Tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte
Farhat Ehsas