اردو हिंदी
Tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-etibar baaten | Shaahi Shayari
tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-etibar baaten

Ghazal

Tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-etibar baaten

Sardar Genda Singh Mashriqi

;

tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-e'tibar baaten
yaqin na aaega hum ko hargiz banao go tum hazar baaten

nahin jo manzur tum ko milna to kyun nahin saf saf kahte
samajh mein aati nahin hamare karo na tum pechdar baaten

uThi hai kali ghaTa falak par hai saqi-e-mah-wash baghal mein
bahak bahak kar hain kya maze se bana rahe baada-KHwar baaten

huin hain jis din se chaar aankhen tumhaari ai yar 'mashriqi' se
yahi tamanna hai baiTh kar tum suno hamari do-chaar baaten

hai aai mushkil se wasl ki shab ki jis ki muddat se thi tamanna
jo main ne shikwe kiye the us ki karo na tum bar bar baaten

ye kya mahal hai ki aaj karte ho shaiKH ji zikr-e-zohd-o-taqwa
yahi hai wajib ki hon gul-o-mul ki waqt-e-fasl-e-bahaar baaten

jo aaj aae ho mere ghar par to hai ye zikr-e-raqib kaisa
na kijiye 'mashriqi' se sahab ki hain ye sab nagawar baaten