tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho
jadid-tar faza-e-alf-lailawi qubul ho
haqiqaton ki talKHiyon ke masale kuchh aur hain
magar KHayal-o-KHwab ki ye shairi qubul ho
tumhaara jism mabad-e-tasawwur-e-nashat hai
mufakkir-e-bahaar ki ye bandagi qubul ho
ba-wasf-e-ilm-o-fan jinhen kabhi sukun na mil saka
bahut hai gar unhen nashat-e-arzi qubul ho
hayat KHud meri hi fikr ka hasin tilism hai
agar jahan ko bhi ye sehr-e-samri qubul ho
tumhaare husn ke tufail KHizr-e-shahr-e-raz ko bhi
'salam' aise shairon ki kaj-rawi qubul ho

Ghazal
Tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho
Salam Machhli shahri