اردو हिंदी
Tumhein KHabar bhi hai ye tumne kis se kya manga | Shaahi Shayari
tumhein KHabar bhi hai ye tumne kis se kya manga

Ghazal

Tumhein KHabar bhi hai ye tumne kis se kya manga

Ghani Ejaz

;

tumhein KHabar bhi hai ye tum ne kis se kya manga
bhanwar mein Dubne walon se aasra manga

sune jo mere azaem to aazmane ko
hawa se barq ne ghar ka mere pata manga

KHud apni rah banata gaya pahaDon mein
kabhi kahan kisi dariya ne rasta manga

jo aap apne andheron se bad-hawas hui
shab-e-siyah ne ghabra ke ek diya manga

kahin bhi ho koi neki barae neki ho
wahin pe ho gai zaea agar sila manga

KHuda ki den ke mohtaj-e-bandagan-e-KHuda
ye kya ki mangne walon se ja-ba-ja manga

hamein jo ishq mein hona tha surKH-ru 'ejaz'
to hum ne jaan-e-hazin qalb-e-mubtala manga