اردو हिंदी
Tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae | Shaahi Shayari
tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae

Ghazal

Tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae

Qabil Ajmeri

;

tumhein jo mere gham-e-dil se aagahi ho jae
jigar mein phul khilen aankh shabnami ho jae

ajal bhi us ki bulandi ko chhu nahin sakti
wo zindagi jise ehsas-e-zindagi ho jae

yahi hai dil ki halakat yahi hai ishq ki maut
nigah-e-dost pe izhaar-e-bekasi ho jae

zamana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge
KHuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jae

siyah-KHana-e-dil mein hai zulmaton ka hujum
charagh-e-shauq jalao ki raushni ho jae

tulu-e-subh pe hoti hai aur bhi namnak
wo aankh jis ki sitaron se dosti ho jae

ajal ki god mein 'qabil' hui hai umr tamam
ajab nahin jo meri maut zindagi ho jae