tumhein gila hi sahi hum tamasha karte hain
magar ye log bhi kya kam tamasha karte hain
dikhai dete nahin awwalan mere darwesh
kahin milen to ba-raqsam tamasha karte hain
ye KHas bhiD hai marhum baadshahon ki
yahan sikandar-e-azam tamasha karte hain
sharik-e-kar-e-ibaadat nahin rahe ki ye log
darun-e-majlis-e-matam tamasha karte hain
bas ek panw thirakta hai raat-din mujh mein
chahaar-su kai aalam tamasha karte hain
khula hai aaj bhi us KHanqah-e-ishq ka dar
malang aaj bhi paiham tamasha karte hain
tuyur dekhne aate hain meri ek jhalak
hazar bargad-o-shisham tamasha karte hain
ye shahr majma-e-KHali se gar nahin hai KHush
to aao mil ke azizam tamasha karte hain
kuchh aise log hain mere bhi milne wale log
jo bar-janaza-o-chihlum tamasha karte hain
Ghazal
Tumhein gila hi sahi hum tamasha karte hain
Aatif Kamal Rana