tumhein bhi malum ho haqiqat kuchh apni rangin-adaiyon ki
kabhi use chheD kar to dekho jo lai mere dil ki saz mein hai
abhi to ek qatra hi gira tha ki jis se halchal mein hai zamana
KHuda hi jaane ki kitni quwwat dil-e-hazin ke gudaz mein hai
ilahi KHair us ke sang-e-dar ki na ho kahin sarf-e-shauq wo bhi
ki zauq-e-sajda ki ek duniya meri jabin-e-niyaz mein hai
Ghazal
Tumhein bhi malum ho haqiqat kuchh apni rangin-adaiyon ki
Hadi Machlishahri