tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi
ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi
wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha
us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi
kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai
wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi
KHuda! sila de dua ka, mohabbaton ke KHuda
KHuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi
main apna chehra kahan DhunDhta phirunga ab
ki main ne teri jabin apna aaina ki thi
hamein tabah to hona tha apni apni jagah!
tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi
saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj
hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi
Ghazal
Tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi
Iftikhar Mughal