tumhein aansu bahane ko bhi mil jaen kai kandhe
magar mujh ko aziyyat mein pareshan kaun dekhega
tumhin jo us ki KHatir jagte baiThe rahe shab bhar
jo ab so jao to subh-e-daraKHshan kaun dekhega
main bhaga to chala aaun tumhaari ek nida sun kar
sar-e-waqt-e-junun inkar-e-darban kaun dekhega
main tere hijr mein baiTha hua kuchh phul gin lunga
miyan-e-be-dili rang-e-gulistan kaun dekhega
tumhein kyun fikr rahti hai mere pindar ki jaanan
tumhaare ruKH ke aage mujh ko uryan kaun dekhega

Ghazal
Tumhein aansu bahane ko bhi mil jaen kai kandhe
Pallav Mishra