tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se
dariche se zamin se baam se diwar se dar se
mujhe to kucha-e-mahbub ka patthar bhi pyara hai
nagin se lal se almas se nilam se gauhar se
muqaddar ki shab-e-zulmat kabhi raushan nahin hoti
diye se mah se qindil se jugnu se aKHtar se
tumhaari aankh ki gahraiyon ka kya taqabul ho
nadi se jhil se dariya se jharne se samundar se
yazidon ko KHabar hai karbala wale nahin Darte
sinan se tir se talwar se barchhi se KHanjar se
karen hum sai jitni bhi kahan mumkin hai bach pana
zaifi se qaza se qabr se barzaKH se mahshar se
tumhaari did ki tishna-nigahon ko hai kya nisbat
subu se tur se chilman se paimane se kausar se
ghazal ki shairi ka wasf hai sab se judagana
ada se fikr se uslub se jiddat se tewar se
Ghazal
Tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se
Shagufta Yasmeen