tumhaari yaad tari ho rahi hai
baDi hi yaadgari ho rahi hai
tumhein to lauT kar aana nahin hai
mujhe to intizari ho rahi hai
mere andar koi laD mar raha hai
baDi taKHrib-kari ho rahi hai
tere kuche mein to sazish hui thi
wahan kyun aah-o-zari ho rahi hai
tere andar kahan sabza ugega
KHizan mein kasht-kari ho rahi hai
mujhi pe Dal de sara KHasara
tujhe kyun sharmsari ho rahi hai
ye duniya ki mohabbat aur ye duniya
tumhaari thi tumhaari ho rahi hai
dar-e-aflak se kya jhankta hai
zamin pe mara-mari ho rahi hai
zamin par ek mulk aisa hai jis mein
ghazab ki din-dari ho rahi hai
Ghazal
Tumhaari yaad tari ho rahi hai
Arif Ishtiaque