tumhaari yaad ko hum ne palak par yun saja rakkha
andheri raat mein har rose aangan mein diya rakkha
labon se guftugu hoti to kuchh shikwa na ho pata
nazar se jab suna us ko tabassum se gila rakkha
gaya pardes beTa jab bhi le kar KHwab sab apne
to phir din-raat man ne apni aankhon ko khula rakkha
diwali id mein aksar khilaune bechta hai ab
ye wo bachcha hai jis ne apni KHwahish ko daba rakkha
wahan ek chand si laDki bhi rahti hai ye jaana tab
dariche ki haya ko jab dupaTTe se uDa rakkha
ye raushan-dan se masum si titli chipakti hai
isi aahaT ko hum ne apni ghazlon ki sada rakkha
ye dahshat-gard saDken hain mujhe kab qatl kar Dalen
kisi kaghaz ke purze mein main apna bhi pata rakkha
kahin dilli ki saDkon par bhala insaf milta hai
magarmachchhon ke aansu ko siyasat ne baha rakkha
Ghazal
Tumhaari yaad ko humne palak par yun saja rakkha
Sanjiv Arya