اردو हिंदी
Tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain | Shaahi Shayari
tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain

Ghazal

Tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain

Prabudha Saurabh

;

tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain
na jaane DhunDh kar kaise kahan se gher lete hain

jo hum ne un dinon bas yun hi pokhar mein uchhaale the
lagun jab Dubne to wo hi tinke gher lete hain

main aisi shohraton ki soch se bhi KHauf khata hun
jidhar niklo udhar aKHbar wale gher lete hain

KHuda jaane KHuda ne kyun mujhe itna nawaza hai
main jab bhi laDkhaData hun sahaare gher lete hain

ye taqat aur ye shohrat samay ka pher hai pyare
gali apni ho to hathi ko kutte gher lete hain

ye mere dost bhi kam-baKHt rone tak nahin dete
zara sa aankh kya bhigi kamine gher lete hain