tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain
kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain
hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain
to har harim mein gesu sanwarne lagte hain
har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain
wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki baKHiya-gari
faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain
dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to 'faiz' dil mein sitare utarne lagte hain
Ghazal
Tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain
Faiz Ahmad Faiz