tumhaari yaad ka saya na hoga
koi bahta hua dariya na hoga
ye manzar bhi nazar aaega ek din
badan hoga koi chehra na hoga
zamane honge meri dastaras mein
tumhaare qurb ka lamha na hoga
samundar ki tarah wo shant lekin
lahhu us aankh se Tapka na hoga
faqat sannaTe mein chiKHa karenge
makan honge koi basta na hoga

Ghazal
Tumhaari yaad ka saya na hoga
Aasim Shahnawaz Shibli