اردو हिंदी
Tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui | Shaahi Shayari
tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui

Ghazal

Tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui

Mubarak Azimabadi

;

tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui
ye kya hui tumhin kah do agar jafa na hui

qadam qadam pe qadam laDkhaDae jate the
tamam umr bhi tai manzil-e-wafa na hui

tumhin kaho tumhein na-ashna kahen na kahen
ki aashna se ada rasm-e-ashna na hui

teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa
pasand aur kisi ki hamein ada na hui

hamin ko dekh ke KHanjar nikalte the aap
hamare baad to ye rasm phir ada na hui

KHuda ne rakh liya naz o niyaz ka parda
ki roz-e-hashr meri un ki barmala na hui