tumhaari furqat mein meri aankhon se KHun ke aansu Tapak rahe hain
siphar-e-ulfat ke hain sitare ki sham-e-gham mein chamak rahe hain
ajib hai soz-o-saz-e-ulfat tarab-faza hai gudaz-e-ulfat
ye dil mein shole bhaDak rahe hain ki lala o gul mahak rahe hain
bahaar hai ya sharab-e-rangin nashat-afroz kaif-agin
gulon ke saghar chhalak rahe hain gulon pe bulbul chahak rahe hain
jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti
ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain
magar 'asar' hai KHamosh o hairan hawas gum chaak daman
labon pe aaen nazar pareshan to ruKH pe aansu Tapak rahe hain
Ghazal
Tumhaari furqat mein meri aankhon se KHun ke aansu Tapak rahe hain
Asar Sahbai