tumhaari aur meri kaj-adaiyan hi rahin
rahe jo pas to baham laDaiyan hi rahin
zi-bas-ki karte rahe be-kason pe tum bedad
sada gali mein tumhaari dohaiyan hi rahin
hui na saz meri us ki sohbat ek shab hae
idhar se ijz udhar se rukhaiyan hi rahin
daregh yar se bichhDe to aise hum bichhDe
ki ta-ba-roz-e-qayamat judaiyan hi rahin
ab us ke milne ka kya lutf 'mushafi' baham
na wo suluk na wo aashnaiyan hi rahin
Ghazal
Tumhaari aur meri kaj-adaiyan hi rahin
Mushafi Ghulam Hamdani