tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe
tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage
jo Dubna hai to itne sukun se Dubo
ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage
wo phul jo mere daman se ho gae mansub
KHuda kare unhen bazar ki hawa na lage
na jaane kya hai kisi ki udas aankhon mein
wo munh chhupa ke bhi jae to bewafa na lage
tu is tarah se mere sath bewafai kar
ki tere baad mujhe koi bewafa na lage
tum aankh mund ke pi jao zindagi 'qaisar'
ki ek ghunT mein mumkin hai bad-maza na lage
Ghazal
Tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
Qaisar-ul-Jafri