tumhaare qasre-azadi ke memaron ne kya paya
jahan-bazon ki ban aai jahan-karon ne kya paya
sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uTha
magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paya
naqib-e-ahd-e-zarrin sirf itna mujh ko batla de
tulu-e-subh-e-nau bar-haq magar taron ne kya paya
junun ki baat chhoDo is gae ghar ka Thikana kya
fareb-e-aql o hikmat ke parastaron ne kya paya
sar-afraazi mili ahl-e-hawas ki parsai ko
magar teri mohabbat ke gunahgaron ne kya paya
khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamanna mein
ba-juz dagh-e-jigar aaina-bardaron ne kya paya
mili sar phoDte hi qaid-e-hasti se bhi aazadi
rukawaT Dal kar zindan ki diwaron ne kya paya
hamare samne hi baiTh kar 'faruq' masnad par
hamin se puchhte ho phir ki ghaddaron ne kya paya
Ghazal
Tumhaare qasre-azadi ke memaron ne kya paya
Farooq Banspari