tumhaare nam kar baiThe dil-o-jaan ki KHushi sahab
hasin-o-dil-nasin lagti hai ab to zindagi sahab
milan ki saaton mein jaan-fiza KHushbu anokhi hai
hama-dam raqs karti hai ajab ek be-KHudi sahab
tar-o-taza hui miTTi meri bas ek lamhe mein
hunar ab aazmao aur karo kuza-gari sahab
tumhaare ek harf-e-KHush-numa par war dun ghazlen
suKHan ki jaan ho tum aur qalam ki raushni sahab
sitare git gate hain samundar raqs karta hai
mukammal ho gae hum tum nahin koi kami sahab
yahi sach hai ki hum tum muKHtalif hain aur logon se
zamane mein misali hai hamari ham-rahi sahab
ki jab bhi hath mere bargah-e-rab mein uThte hain
tashakkur lab pe hota hai nigahon mein nami sahab
Ghazal
Tumhaare nam kar baiThe dil-o-jaan ki KHushi sahab
Shumaila Bahzad