tumhaare lams ko KHud main utar sakta hun
main apne aap ko yun bhi sanwar sakta hun
wo sans sans mein ghulne laga hai yun mere
main por por se us ko pukar sakta hun
mere KHayal ki taqat se tum nahin waqif
zamin par main falak bhi utar sakta hun
mere mizaj ki shiddat se tum to waqif ho
tumhein main apna bana kar bhi haar sakta hun
agar jo izn-e-mohabbat mujhe mile 'saim'
main rome rome tera bhi nikhaar sakta hun

Ghazal
Tumhaare lams ko KHud main utar sakta hun
Saim Ji