tumhaare hone ka shayad suragh pane lage
kanar-e-chashm kai KHwab sar uThane lage
palak jhapakne mein guzre kisi falak se hum
kisi gali se guzarte hue zamane lage
mera KHayal tha ye silsila diyon tak hai
magar ye log mere KHwab bhi bujhane lage
na-jaane raat tere mai-kashon ko kya sujhi
subu uThate uThate falak uThane lage
wo ghar kare kisi dil mein to ain mumkin hai
hamari dar-badari bhi kisi Thikane lage
main gungunate hue ja raha tha nam tera
shajar hajar bhi mere sath gungunane lage
hudud-e-dasht mein aabaadiyan jo hone lagin
hum apne shahr mein tanhaiyan basane lage
dhuan dhanak hua angar phul bante gae
tumhaare hath bhi kya moajaze dikhane lage
'raza' wo ran paDa kal shab ba-razm-gah-e-junun
kulahen chhoD ke sab log sar bachane lage
Ghazal
Tumhaare hone ka shayad suragh pane lage
Akhtar Razaa Saleemi