tumhaare hijr mein rahta hai hum ko gham miyan-sahib
KHuda jaane jiyenge ya marenge hum miyan-sahib
agar bosa na dena tha kaha hota nahin deta
tum itni baat se hote ho kya barham miyan-sahib
KHata kuchh hum ne ki ya ghair hai shayad tumhein mane
sabab kya hai ki tum aate ho ab kuchh kam miyan-sahib
agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon mein
hamein bhi jaanta hai KHub ek aalam miyan-sahib
tumhaare ishq se 'taban' hua hai shahar mein ruswa
tum us ke haal se ab tak nahin mahram miyan-sahib
Ghazal
Tumhaare hijr mein rahta hai hum ko gham miyan-sahib
Taban Abdul Hai