tumhaare dil mein jo gham basa hai to main kahan hun
ye main nahin koi dusra hai to main kahan hun
hamari palkon ke KHwab aaKHir udas kyun hain
agar ye tum ko hi sochna hai to main kahan hun
wo meri taswir meri KHushbu KHayal mera
tumhaara kamra saja hua hai to main kahan hun
kisi ne dekha to kya kahega tum hi batao
tumhaare hathon mein aaina hai to main kahan hun
tumhaari chahat ke zaKHm shayad mahak rahe hain
suna hai mausam hara-bhara hai to main kahan hun
hara jamega ki surKH joDa ye karchobi
tumhein ye dil hi se puchhna hai to main kahan hun
ye tum bhi socho ki 'badr' aaKHir udas kyun hai
charagh itna bujha bujha hai to main kahan hun
Ghazal
Tumhaare dil mein jo gham basa hai to main kahan hun
Badr Wasti