اردو हिंदी
Tumhaare dard ko suraj kaha hai | Shaahi Shayari
tumhaare dard ko suraj kaha hai

Ghazal

Tumhaare dard ko suraj kaha hai

Khurshid Ahmad Jami

;

tumhaare dard ko suraj kaha hai
naya uslub ghazlon ko diya hai

sahar ke raste mein sar uThae
andheron ka wahi parbat khaDa hai

bahut kuchh jo kitabon mein nahin tha
wo chehron ki lakiron mein paDha hai

koi wahshat-zada zaKHmi irada
tabassum ban ke lahraata raha hai

batao nam bhi hai kuchh tumhaara
mera saya mujhi se puchhta hai

mujhe apna samajh kar zindagi ne
KHud apne aap ko dhoka diya hai

dar-o-diwar se har roz 'jami'
wahi be-rang afsana suna hai