tumhaare aane ka jab jab bhi ehtimam kiya
to hasraton ne adab se mujhe salam kiya
kahan kahan na nazar ne tumhaari kaam kiya
utar ke dil mein umidon ka qatl-e-am kiya
ghamon ke daur mein hans kar jo pi gae aansu
to aane wali masarrat ne ehtiram kiya
ye kis ne chun ke masarrat ke phul daman se
ghamon ka bojh meri zindagi ke nam kiya
'mubin' gulshan-e-hasti mein aag bhaDki hai
junun-e-shauq ne kya KHub apna kaam kiya
Ghazal
Tumhaare aane ka jab jab bhi ehtimam kiya
Syed Mubeen Alvi Khairabadi