tumhaare aalam se mera aalam zara alag hai
ho tum bhi ghamgin magar mera gham zara alag hai
yahan pe hansna rawa hai rona hai be-hayai
suqut-e-shahr-e-junun ka matam zara alag hai
khulenge shaKHon ke raaz ahl-e-chaman par ab ke
girah girah se ulajhti shabnam zara alag hai
tere tasawwur ki dhup oDhe khaDa hun chhat par
mere liye sardiyon ka mausam zara alag hai
zara sa badla hua hai tarz-e-kalam 'sabir'
wahi purane hain lafz dam-KHam zara alag hai

Ghazal
Tumhaare aalam se mera aalam zara alag hai
Sabir