tumhaara nam zaban se nikal gaya aaKHir
zamana mere guman se nikal gaya aaKHir
sambhaal kar jise rakkha hua tha muddat se
wo tir teri kaman se nikal gaya aaKHir
tamam apne sawal-o-jawab bhul gae
hisab-e-sud-o-ziyan se nikal gaya aaKHir
har ek shaKHs mein tujh ko talash karta hua
hujum-e-nukta-waran se nikal gaya aaKHir
jo lazmi tha tere samne ada hona
wo ek lafz bayan se nikal gaya aaKHir
tumhaare samne kab tak KHirad wafa karti
makin-e-hosh makan se nikal gaya aaKHir
meri talash mein had hi ubur kar Dali
mere liye wo jahan se nikal gaya aaKHir

Ghazal
Tumhaara nam zaban se nikal gaya aaKHir
Naqqash Abidi