اردو हिंदी
Tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai | Shaahi Shayari
tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

Ghazal

Tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai

Jaleel u0027Aaliu0027

;

tumhaara kya tumhein aasan bahut raste badalna hai
hamein har ek mausam qafile ke sath chalna hai

bas ek Dhalwan hai jis par luDhakte ja rahe hain hum
hamein jaane nashebon mein kahan ja kar sambhalna hai

hum is Dar se koi suraj chamakne hi nahin dete
ki jaane shab ke andhiyaron se kya manzar nikalna hai

hamare dil-jazire par utarta hi nahin koi
kahen kis se ki is miTTi ne kis sanche mein Dhalna hai

nigahen puchhti phirti hain aawara hawaon se
zaminon ne zamanon ka KHazana kab ugalna hai

kisi masum se jhonke ki ek halki si dastak par
inhi patthar pahaDon se koi chashma ubalna hai