اردو हिंदी
Tumhaara jo sahaara ho gaya hai | Shaahi Shayari
tumhaara jo sahaara ho gaya hai

Ghazal

Tumhaara jo sahaara ho gaya hai

Ambareen Haseeb ambar

;

tumhaara jo sahaara ho gaya hai
bhanwar bhi ab kinara ho gaya hai

mohabbat mein bhala kya aur hota
mera ye dil tumhaara ho gaya hai

tumhaari yaad se hai wo charaghan
ki aansu bhi sitara ho gaya hai

ajab hai mausan-e-be-iKHtiyari
ki jab se wo hamara ho gaya

ek an-jaani KHushi ke aasare mein
hamein har gham gawara ho gaya hai

hamein kab ras aa sakti thi duniya
ghanimat hai guzara ho gaya hai

jinhen rahta tha zoam-e-dil-faroshi
unhen ab ke KHasara ho gaya hai