tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho
tumhaare baad bhala kya hain wada-o-paiman
bas apna waqt ganwa lun agar ijazat ho
tumhaare hijr ki shab-ha-e-kar mein jaanan
koi charagh jala lun agar ijazat ho
junun wahi hai wahi main magar hai shahr naya
yahan bhi shor macha lun agar ijazat ho
kise hai KHwahish-e-marham-gari magar phir bhi
main apne zaKHm dikha lun agar ijazat ho
tumhaari yaad mein jine ki aarzu hai abhi
kuchh apna haal sambhaalun agar ijazat ho
Ghazal
Tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho
Jaun Eliya