tum waqt-e-sahar rauzan-e-diwar mein dekho
lali si kahin subh ke aasar mein dekho
har jins ki qimat hai mere sar se ziyaada
ruk kar to kabhi kucha o bazar mein dekho
thak-haar ke sikhe hain masafat ke qarine
ek taza safar saya-e-diwar mein dekho
ye atlas o kim-KHwab mera asl nahin hain
milna ho to mujh ko mere pindar mein dekho
ab jurm hai ham-sae ka ham-sae se milna
ye taza KHabar aaj ke aKHbar mein dekho
main nind mein chalta hua kho jaun na 'qaisar'
aahaT mere qadmon ki shab-e-tar mein dekho
Ghazal
Tum waqt-e-sahar rauzan-e-diwar mein dekho
Qaisar Abbas