tum us se duri bhi mat KHwah-maKHwah mein rakhna
bas ehtiyat si ek rasm-o-rah mein rakhna
tum apne rang nahao tum apni mauj uDo
magar hamari wafa bhi nigah mein rakhna
qubul gar na kare wo to kya hamein sar-e-sham
gulab mahfil-e-zill-e-ilah mein rakhna
jo ras aai use masnad-e-shahi to suno
shikasta chuDiyan ab razm-gah mein rakhna
baDa azab hai mahmuda-'ghaziya' hijrat
mere KHuda mujhe apni panah mein rakhna
Ghazal
Tum us se duri bhi mat KHwah-maKHwah mein rakhna
Mahmooda Gaziya