اردو हिंदी
Tum se wabasta hai meri maut meri zindagi | Shaahi Shayari
tum se wabasta hai meri maut meri zindagi

Ghazal

Tum se wabasta hai meri maut meri zindagi

Makhmoor Dehlvi

;

tum se wabasta hai meri maut meri zindagi
jism se apne kabhi saya juda hota nahin

is tarah fariyaad karne ko kaleja chahiye
ab koi gulshan mein mera ham-nawa hota nahin

wo mohabbat-afrin deta hai hasb-e-zarf-e-ishq
phir kisi se bhi talab-gar-e-wafa hota nahin

ek taKHayyul hai ki jis mein mahw hai mera dimagh
ek tasawwur ye jo aankhon se juda hota nahin

sai-e-fahm-e-zat-e-bari aur ye mahdud aql
jis ka hasil kuchh bhi hairat ke siwa hota nahin

ashraf-ul-maKHluq kahte hain usi majbur ko
jis ka koi kaam be-dast-e-dua hota nahin

jitne arman dil mein the 'maKHmur' sab maujud hain
ek bhi to apne markaz se juda hota nahin