tum se shikwa bhi nahin koi shikayat bhi nahin
aur is tark-e-talluq ki wazahat bhi nahin
yaad miras hai yaaden hi amanat hain meri
wo to mahfuz hain ab un ki inayat bhi nahin
jab meri gardish-e-dauran se mulaqat hui
hans ke bole tujhe hajat-e-kifayat bhi nahin
talKH yaadon ka dafina hai ye masum sa dil
talKH yaadon se hamein koi shikayat bhi nahin
'asifa' sirf hai kahne ke liye dil mera
ab magar dil pe mere meri hukumat bhi nahin
Ghazal
Tum se shikwa bhi nahin koi shikayat bhi nahin
Asifa Zamani