tum se rah-o-rasm baDha kar diwane kahlaen kyun
jin galiyon mein patthar barsen un galiyon mein jaen kyun
waise hi tarik bahut hain lamhe gham ki raaton ke
phir mere KHwabon mein yaro wo gesu lahraen kyun
majburon ki is basti mein kis se puchhen kaun batae
apna mohalla bhul gai hain be-chaari lailaen kyun
mustaqbil se aas bahut hai mustaqil kaisa bhi ho
mazi kis ke kaam aaya hai mazi ko dohraen kyun
han hum ne bhi aaj kisi ka nazuk sa dil toDa hai
shahr-e-wafa ki rasm yahi hai hum is par sharmaen kyun
khiDki khiDki sannaTa hai chilman chilman tanhai
chahat ki mahfil mein ab hum naqd-e-dil-o-jaan laen kyun
wadon ke jangal mein 'azar' hum to barson bhaTke hain
aap karen kyun dil pe bharosa aap ye dhoka khaen kyun
Ghazal
Tum se rah-o-rasm baDha kar diwane kahlaen kyun
Kafeel Aazar Amrohvi