اردو हिंदी
Tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha | Shaahi Shayari
tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha

Ghazal

Tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha

Habib Jalib

;

tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha
us ko bhi apne KHuda hone pe itna hi yaqin tha

koi Thahra ho jo logon ke muqabil to batao
wo kahan hain ki jinhen naz bahut apne tain tha

aaj soe hain tah-e-KHak na jaane yahan kitne
koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha

ab wo phirte hain isi shahr mein tanha liye dil ko
ek zamane mein mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha

chhoDna ghar ka hamein yaad hai 'jalib' nahin bhule
tha watan zehn mein apne koi zindan to nahin tha