tum se jab bichhDe to kitne rabte rakkhe gae
aahaTon par kan palkon par diye rakkhe gae
kashti-e-jaan dard ki lahron mein sargardan rahi
dhaDkanon ke sath an-miT waswase rakkhe gae
apni KHatir KHwab wo rakkhe jo be-tabir the
jagte lamhe tumhaare waste rakkhe gae
aks rakhta tha na apni zat mein apna koi
kitne chehre aainon ke samne rakkhe gae
kya masafat ki thakan se aashnai ka fareb
lauT aane ke liye jab raste rakkhe gae
us ki aankhon ko diye manzar sitaron ke magar
meri binai ki KHatir aable rakkhe gae
kya KHabar thi ek jhonka le aDega aashiyan
joD kar tinke to 'athar' aas ke rakkhe gae
Ghazal
Tum se jab bichhDe to kitne rabte rakkhe gae
Mumtaz Athar