tum se dekhe na gae hum se dikhae na gae
hae wo zaKHm jo is dil se chhupae na gae
kar liya yun to har ek ranj gawara lekin
aaj tak dil se teri yaad ke sae na gae
hum ne chaha bhi nahin hum ne bhulaya bhi nahin
dil ne chaha bhi magar dil se bhulae na gae
rah par rah nikalti gai kuche se tere
warna is rah pe hum aap se aae na gae
naqsh-e-pa ban ke jahan miT bhi gaya naqsh-e-ummid
hum usi rah pe baiThe hain uThae na gae
Ghazal
Tum se dekhe na gae humse dikhae na gae
Javed Kamal Rampuri