tum se bhi ab to ja chuka hun main
dur-ha-dur aa chuka hun main
ye bahut gham ki baat ho shayad
ab to gham bhi ganwa chuka hun main
is guman-e-guman ke aalam mein
aaKHirash kya bhula chuka hun main
ab babar sher ishtiha hai meri
shairon ko to kha chuka hun main
main hun meamar par ye batla dun
shahr ke shahr Dah chuka hun main
haal hai ek ajab faraghat ka
apna har gham mana chuka hun main
log kahte hain main ne jog liya
aur dhuni rama chuka hun main
nahin imla durust 'ghaalib' ka
'shefta' ko bata chuka hun main
Ghazal
Tum se bhi ab to ja chuka hun main
Jaun Eliya