tum samajh lete gar pareshani
hum ko ho jati thoDi aasani
kaisa mara tha us ne harfon ko
lafz bhage uTha uTha mani
aap ki baat ko raqam kar ke
hum ne pani pe likh diya pani
koi pagal hai aa ke puchhega
aap se aap ki pareshani
Dal do kuchh hawaon ke sar pe
itni achchhi nahin hai uryani
hum ko aana hai beach mein un ke
baat bilkul bigaD gai yani
meri duniya ko luTne wali
aag lag jae tujh ko mar jaani
aur kuchh din guzarne de mere
dhul chaTegi teri tabani
DhunDhti hai nigah bhagdaD mein
koi surat ho jaani-pahchani
jis ko lana hai le ke aa jaana
hum khaDe hain le dushman-e-jaani
Ghazal
Tum samajh lete gar pareshani
Sawan Shukla