tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin
ek zara sa dil TuTa hai aur to koi baat nahin
kis ko KHabar thi sanwle baadal bin barse uD jate hain
sawan aaya lekin apni qismat mein barsat nahin
TuT gaya jab dil to phir ye sans ka naghma kya mani
gunj rahi hai kyun shahnai jab koi baraat nahin
gham ke andhiyare mein tujh ko apna sathi kyun samjhun
tu phir tu hai mera to saya bhi mere sath nahin
mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zat nahin
KHatm hua mera fasana ab ye aansu ponchh bhi lo
jis mein koi tara chamke aaj ki raat wo raat nahin
mere ghamgin hone par ahbab hain yun hairan 'qatil'
jaise main patthar hun mere sine mein jazbaat nahin
Ghazal
Tum puchho aur main na bataun aise to haalat nahin
Qateel Shifai