tum ne sach bolne ki jurat ki
ye bhi tauhin hai adalat ki
manzilen raston ki dhul huin
puchhte kya ho tum masafat ki
apna zad-e-safar bhi chhoD gae
jaane walon ne kitni ujlat ki
main jahan qatl ho raha hun wahan
mere ajdad ne hukumat ki
pahle mujh se juda hua aur phir
aks ne aaine se hijrat ki
meri aankhon pe us ne hath rakha
aur ek KHwab ki mahurat ki
itna mushkil nahin tujhe pana
ek ghaDi chahiye hai fursat ki
hum ne to KHud se intiqam liya
tum ne kya soch kar mohabbat ki
kaun kis ke liye tabah hua
kya zarurat hai is wazahat ki
ishq jis se na ho saka us ne
shaeri mein ajab siyasat ki
yaad aai to hai shanaKHt magar
intiha ho gai hai ghaflat ki
hum wahan pahle rah chuke hain 'salim'
tum ne jis dil mein ab sukunat ki
Ghazal
Tumne sach bolne ki jurat ki
Saleem Kausar