tum ne rasm-e-jafa uTha di hai
hamein kis jurm ki saza di hai
sham-e-ummid kyun jala di hai
ishq tarikiyon ka aadi hai
aap ne KHud mujhe sada di hai
ya meri quwwat-e-iradi hai
hum to muddat ke mar gae hote
maut ne zindagi baDha di hai
ab dua par bhi e'timad nahin
na-muradi si na-muradi hai
tujh sa bedad-gar kahan hoga
lab-e-har-zaKHm ne dua di hai
muKHtalif hain tasawwuraat-e-jamal
ye aqida bhi infiradi hai
dekh fitrat ki bazm-arai
KHak par chandni bichha di hai
ye jo chhoTi si hai kali sar-e-shaKH
bagh ki baad shahzadi hai
lab-e-taswir-e-dost kuchh to bata
kis ne ye KHamushi sikha di hai
ai 'saba' kimiya-e-gham ke liye
zindagi KHak mein mila di hai

Ghazal
Tumne rasm-e-jafa uTha di hai
Saba Akbarabadi