اردو हिंदी
Tumne puchha nahin kabhi hum ko | Shaahi Shayari
tumne puchha nahin kabhi hum ko

Ghazal

Tumne puchha nahin kabhi hum ko

Sharaf Mujaddidi

;

tum ne puchha nahin kabhi hum ko
tum se ummid ye na thi hum ko

rote dekha mujhe to farmaya
aa na jae kahin hansi hum ko

jis nazar se ki chahte the hum
tum ne dekha nahin kabhi hum ko

hae kahna kisi ka jate hue
kijiye ruKHsat hansi KHushi hum ko

o jawanon ki jaan hum se hijab
yaad hai teri kam-sini hum ko

hae kya bhole-pan se kahte hain
ghurti kyun hai aarsi hum ko

muddaton mein huzur-e-yar 'sharaf'
aaj lai hai be-KHudi hum ko