tum ne jo socha hai waisa hi sahi
ishq jhuTha hai to jhuTha hi sahi
us se har haal nibhana hai mujhe
wo jo kaDwa hai to kaDwa hi sahi
chand-tare to nahin qismat mein
miTTi ka ek khilauna hi sahi
mere jazbaat tamasha hain agar
chal to phir aur tamasha hi sahi
ek ajab dil ko sukun deta hai
milna hum donon ka sapna hi sahi
mujh ko hai naz ki kuchh to hun main
'jyoti' qatra hai to qatra hi sahi
Ghazal
Tumne jo socha hai waisa hi sahi
Jyoti Azad Khatri

