tum ne jab ghar mein andheron ko bula rakkha hai
uTh ke so jao ki darwaze pe kya rakkha hai
har kisi shaKHs ke rone ki sada aati hai
phir kisi shaKHs ne basti ko jaga rakkha hai
apni KHatir bhi koi lafz tarashen yaro
hum ne kis waste yun KHud ko bhula rakkha hai
dekhne ko hai badan aur haqiqat ye hai
ek malba hai jo muddat se uTha rakkha hai
tu agar tha to bahut dur the hum tujh se ki ab
tu nahin hai to tujhe pas biTha rakkha hai
hum kisi tarah tujhe DhunD len mumkin hi nahin
tu ne har rah ko sahra se mila rakkha hai
Ghazal
Tumne jab ghar mein andheron ko bula rakkha hai
Abid Almi