tum ne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge
warna apni zat se hamdam phir dhoka kha jaenge
kaDi dhup mein hum le aae apne komal giton ko
un ke phul se chehre dekhen dhup mein kumhla jaenge
aankhen mund ke chalne wale dhun ke pakke nikle to
chalte chalte ek din aaKHir manzil ko pa jaenge
kaun hawaon ke par bandhe kaun hamara rasta roke
aag ka dariya hoga to bhi tair ke hum aa jaenge
danai ke shahr ke basi pagal-pan ke jangal mein
jangal walo aankh bacha kar aag si bhaDka jaenge
man ki aankh khule to samjho nur ka zina chaDhna hai
warna tan ki aankh ke shishe dhup mein dhundla jaenge
dard-hawa ka pichha karna sab ke bas ki baat nahin
apna pichha karte karte dost bhi ukta jaenge

Ghazal
Tumne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge
Vishvanath Dard