اردو हिंदी
Tumne dekha hi nahin hai wo nizam-e-maKHsus | Shaahi Shayari
tumne dekha hi nahin hai wo nizam-e-maKHsus

Ghazal

Tumne dekha hi nahin hai wo nizam-e-maKHsus

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

tum ne dekha hi nahin hai wo nizam-e-maKHsus
ku-e-jaanan mein hamara hai qayam-e-maKHsus

mujtama aaj hain yaran-e-sar-e-pul sare
KHalwat-e-KHas mein hai majma-e-am-e-maKHsus

jalsa-e-am mein diqqat nahin hoti un ko
jo samajhte hain ishaaron mein kalam-e-maKHsus

dil-e-gham-dida hua hamdam-e-sad-guna-nashat
aaj aaya hai jau dilbar ka payam-e-maKHsus

wo mera subh-nafas muKHlis-e-yak-rang hua
ab na wo subh-e-muqarrar hai na sham-e-maKHsus

KHub eazaz giraftar-e-mohabbat ka hua
un ko hai madd-e-nazar qaid-e-dawam-e-maKHsus

aam se KHas ki tamiz hua karti hai
ho gaya nok-e-zaban shoKH ko nam-e-maKHsus

naqs ye waza ka ho jaega dagh-e-ismat
kyun wo shab-gard hua mah-e-tamam-e-maKHsus

raazdan jo hain samajhte hain wo ye raaz-o-niyaz
guftugu KHas se hota hai kalam-e-maKHsus

hai tera bulbul-e-kashmir yagana mai-kash
aam hota hi nahin sharb-e-dawam-e-maKHsus